Kashmiri Chai Bnany Ka Tarika – Asaan Aur Mazedar Recipe in Five

Kashmiri chai jisay hum gulabi chai kay naam say b jantay han. yeh aik munfarid or zara alag zaiqa rakhti ha. Aj ky is blog my ham apko btai gy Kashmiri chai bnany ka tarika in urdu.

Logon ko iska zaiqa buht pasand ha or wo isay pasand kartay han shadi biyah jaisi takreebat pr. Lekin Kashmiri chai ko ab hum ghr pr b bana saktay han

Is mai istimal honay walay ajza to asan han jo ky hum apni roz marra ki zindagi mai b istimal krtay han. lekin isay banany mai thori mehnat darkar hai.

Kashmiri Chai Bnany Ka Tarika – Asaan Aur Mazedar Recipe in five

Lekin preshani k itni koi bt nii ha. hum ap ko is k aik asan recipe batai gy jis say ap asani say gulabi chai bana saktay han.

Ap ko bss bataya gaye tareqy par amal krna ha.

Shuru katay ha ajza kay sath:

  1. Kashmiri chaii kay patty 
  2. Pani (char cup)
  3. Meetha soda (1/4 chai ka chamach)
  4. Doodh (2 cup)
  5. Namak (hasbay zaiqa)
  6. Cheeni (hasbay zaiqa)
  7. Badamm or pista (hasbay zaiqa)
  8. Ilaichi  (1-2 pissi hui)
  9. Zafran (sajany ky liya or zaiqay ku liya)

Kashmiri chai banay ka tarika in urdu

Kashmiri chai bnany ka tarika tafsil se nechy btaya gya ha

  • kashmiri Chai banay ky liye chai wala bartan ly or us mai 2 cup pani daly. ubalnay tk ka intizar kary.
  • Jbb pani ubalna shru ho jai to us mai Kashmiri chai kay patty dal day or ubalnay day. Ab isay 3-5 minutes ke liya paknay de.
  • Ab is mai meetha soda 1/4 teaspoon dal de. Ya ap ko Kashmiri gulabi chaii ka aik khubsurat gulabi rung nikalnay mai madad kry ga.
  • 5-10 minute kay liya halki say darmiyani aanch pr pakai jbb tak kay ghari na ho jaii chaii.
  • Ab ap isay dosray bartan mai chaan lay
  • Ab chaii mai dhoodh dal lay
  • Phir is mai zaiqay kay mutabiq cheeni or namak dalay.
  • Halki say darmiyani anch pr isay paknay day or phir is mai pissay howay badam pista or ilaichi dalay zaiqa kay liya. sasta badam or pista hasil krny k lie hmari website visit kren
  • Jbb dhoodh gahra ho jaii or creamy diknay lagay to chulha band kr day or cup me dal kr paish kry.
  • Phir kuch mazeed badam pista or zafran is ke uper dal kr isay mazeed khubsurat kre or lutf uthaii is mazay dar Kashmiri gulabi chai say.

Lekin hamary pas aik hal hai jo is lamabay or mushkil tareekay ko mazeed asan kar skta ha or kam waqt mai is chai ka maza lay saktay ha.

To phir abhi hasil kary hamara qahwa (Kashmiri chai kahwa) or mazy ly is chaii ka bss thoray waqt k mahnat say.

Badam or pisty ky mazy se bharpor mazydar kashmiri chai abi order kraein

Back to blog